¯\_(ツ)_/¯
kabhi koi ehsaas waqt pr na mile, toh vo hmesha ke liye mar jata hai!
ya apni aisi parchhayi chhodta hai jo din ke ujaale mein jeena dushwaar krde,
aur sadaa ke liye raat ki chuppi mein dafan krde
vo saare lafz jo bayaan hokar sb suljha paate!
fir mann udaas ho jata hai.
khud par gussa aane lgta hai,
ki aas lagayi hi kyu!
ek mann krta h ki bss! ab hadd ho chuki hai....
aur ussi ek pal vo saare manzar zehen mein ghuumne lgta hain,
jnha jeet hmare jazbaaton ki hui thi. hmare mann ki hui thi.
aur fir sb thamm sa jata hai... mann chup sa ho jata hai...
kch toh paa leta hai! yaadon mein khokar.
aur ek khayal un yaadon ke ird-gird ghuumne lgta hai..!
ki itna khudgarz toh nhi ho skta main!!
~mannat
Comments
Post a Comment